vo bichhaḌ kar niDhal tha hi nahin
ya.ani us ko malal tha hi nahin
vo to paanv hi paḌ gaya tha mire
jis safar men malal tha hi nahin
meri tasdiq kya bhala karta?
vo kabhi meri Dhaal tha hi nahin
surma.i hijr ko hara karta
us men aisa kamal tha hi nahin
aur phir dil ne us ko chhoḌ diya
jab ta.alluq bahal tha hi nahin
chand phir ham-safar bana mera
mere aage zaval tha hi nahin
Leave a Reply