qad se kuchh mavara charagh jale
palken uThen vo ya charagh jale
tirgi ḳhatm ho nahin rahi dost
dusra tisra charagh jale
jal uTha huun main hai andhera kahan
kah raha tha baḌa charagh jale
yuun bujha hai ki dil ye chahta hai
aur ik martaba charagh jale
ghup andhere men ankhen raushan hain
ab yahan aur kya charagh jale
sab ne bai.at andheron se kar li
aur main kahta raha charagh jale
vasl ho to charaghan bhi kar len
hijr ki raat kya charagh jale
mera aur us ka vaqi.a yuun hai
jab hua samna charagh jale
aa.ina rakh ke samne dekha
aa.ine men siva charagh jale
zau purane diyon ki kam nahin par
ik zara sa naya charagh jale
baat lekin miri suni na ga.i
main ne chaha bhi tha charagh jale
mujh ko jalta makan dikha.i diya
main ne ki thi dua charagh jale
aise jalta hai aaj dil mera
jis tarah ‘mir’ ka charagh jale
ruḳh hava ne badal liya apna
faisla ho gaya charagh jale
mujh ko jalne men aar kab hai magar
yuun jala jis tarah charagh jale
apne hisse ka jal-bujha ‘zishan’
ab koi dusra charagh jale
Leave a Reply