pyaar ka dard ka maz.hab nahin hota koi
ka.aba-o-dair se matlab nahin hota koi
sach to ye hai ki main har bazm men tanha hi raha
yuun magar paas mire kab nahin hota koi
jan-o-iman sahi sab kuchh sahi tu mire liye
haa.e kis munh se kahun sab nahin hota koi
ek saaya tha jise main ne pakaḌna chaha
vo jo hota tha koi ab nahin hota koi
chandni phuul hava jaam sitare ḳhushbu
zahr ke naam hain jis shab nahin hota koi
mujh ko ḳhud mujh se bhi milne nahin deti duniya
chhup ke milta huun kabhi jab nahin hota koi
jis ko mil jaa.e ye daulat ho mubarak us ko
sher sab ke liye mansab nahin hota koi
Leave a Reply