vo bhi kahta tha ki us gham ka mudava hi nahin
dil jalane ke alava koi chara hi nahin
zor-e-vahshat bhi agar kam ho to chalna hai mudam
sar chhapane ke liye dasht men saaya hi nahin
jal ke ham raakh hue hain ki bane hain kundan
jauhari ban ke kisi shaḳhs ne parkha hi nahin
gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin
meri ankhon men vahi shauq-e-tamasha tha ‘na.im’
us ne jhuk kar miri tasvir ko dekha hi nahin
Leave a Reply