• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Puchhen Wo Kash Haal Dil-E-Be-Qarar Ka

Puchhen Wo Kash Haal Dil-E-Be-Qarar Ka

puchhen vo kaash haal dil-e-be-qarar ka

ham bhi kahen ki shukr hai parvardigar ka

lazim agar hai shukr hi parvardigar ka

phir kya ilaaj gardish-e-lail-o-nahar ka

sayyad bhi pahunch gaya gul-chi bhi baagh men

ai ham-safir aa gaya mausam bahar ka

tadbir kya ho sabr-o-shakeb-o-qarar ki

vo tund-ḳhu hai bas ka na dil iḳhtiyar ka

kyun-kar miTe nadamat-e-iz.har-e-arzu

aalam nazar men hai nigah-e-sharmsar ka

qanun kis ne badla hai qudrat ka shaiḳh-ji

daaru hai ab bhi mai hi gham-e-rozgar ka

un namiyon ke hashr se ibrat-pazir ho

baaqi nahin nishan bhi jin ke ghubar ka

rakkhega be-qarar tumhen bhi tamam umr

marna taḌap taḌap ke kisi be-qarar ka

be-laus ho havas se agar ishq ai ‘vafa’

hai zikr-e-yar men bhi maza vasl-e-yar ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gale Pe Ek KHanjar Aab-Dar Kis Ka Hai

Gham-E-Dauran Gham-E-Jaanan Gham-E-Jaan Hai Ki Nahin

Hamari Tarah Koi Dusra Hua Bhi Nahin

Hairan Hain Sare Aaine Mazi-O-Haal Ke

poet

Husn Fani Hai Jawani Ke Fasane Tak Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet