ek guman ka haal hai aur faqat guman men hai
kis ne azab-e-jan saha kaun azab-e-jan men hai
lamha-ba-lamha dam-ba-dam an-ba-an ram-ba-ram
main bhi guzishtagan men huun tu bhi guzishtagan men hai
adam-o-zat-o-kibriya karb men hain juda juda
kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan men hai
shakh se ud gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand
sahn men hai malal sa huzn sa asman men hai
khud men bhi be-aman huun main tujh men bhi be-aman huun main
kaun sahega us ka gham vo jo miri amaan men hai
kaisa hisab kya hisab halat-e-hal hai azaab
zakhm nafas nafas men hai zahr zaman zaman men hai
us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan
ek ajiib kashmakash halqa-e-be-dilan men hai
bud-o-nabud ka hisab main nahin janta magar
saare vajud ki nahin mere adam ki haan men hai
Leave a Reply