ḳhazāna lutf kā jaise nafas nafas meñ thā
ajab surūr kā aalam merī havas meñ thā
vahāñ bhī log ujāloñ pe naaz karte the
har āftāb-e-jahāñ tīrgī ke bas meñ thā
phire bhī din to use pattharoñ ke paañv mile
vo ek phuul jo muddat se ḳhār-o-ḳhas meñ thā
thakan nahīñ thī ye thā be-hisī kā sannāTā
ajiib karb sā ik nāla-e-jaras meñ thā
sukūt-e-qalb kā āḳhir shikār ho hī gayā
vo ek shaḳhs jo tā-umr pesh-o-pas meñ thā
sabhī ko tīliyāñ apnī aziiz thiiñ ‘asrār’
ki jo parind thā ḳhud-sāḳhta qafas meñ thā