puchha ki vaj.h-e-zindagi bole ki dildari miri
puchha ki marne ka sabab bole jafa-kari miri
puchha ki dil ko kya kahun bole ki divana mira
puchha ki us ko kya hua bole ki bimari miri
puchha sata ke ranj kyuun bole ki pachhtana paḌa
puchha ki rusva kaun hai bole dil-azari miri
puchha ki dozaḳh ki jalan bole ki soz-e-dil tira
puchha ki jannat ki phaban bole tarah-dari miri
puchha ki ‘muztar’ kyuun kiya bole ki dil chaha mira
puchha tasalli kaun de bole ki gham-ḳhvari miri
Leave a Reply