piiri se mira nau digar-hal hua hai
vo qad jo alif sa tha so ab daal hua hai
maqbul mire qaul se qavval hua hai
suufi ko ghazal sun ke miri haal hua hai
un hathon ki daulat se kaḌa maal hua hai
un paanv se avaz-e-ḳhalḳhal hua hai
alminnat o lillah ba-sad-minnat udhar se
inkar tha jis shai ka ab iqbal hua hai
jab qatl kiya hai kisi ashiq ko to vaan se
jallad ki talvar ko rumal hua hai
kis uqde ko is zulf ki khola nahin ham ne
suljhaya hai uljha hua jo baal hua hai
kis sar ko nahin yaar ki raftar ka sauda
me.araj vo samjha hai jo pamal hua hai
bimar raha barson main isa-nafason men
puchha na kisi ne kabhi kya haal hua hai
ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega
barson men siyah nama-e-a.amal hua hai
jo naaz kare yaar saza-var hai ‘atish’
ḳhush-ru o ḳhush-uslub o ḳhush-iqbal hua hai
Leave a Reply