har jafa un ki hui ham ko vafa se badh kar
ab nikalen vo koi zulm jafa se badh kar
sar-e-taslim hai kham teri raza ke aage
de vo rutba jo hai taslim-o-raza se badh kar
kam-sini jin ki hamen yaad hai aur kal ki hi baat
aaj unhen dekhiye kya ho gae kya se badh kar
allah allah khususiyyat-e-zat-e-hasnain
saari ummat ke hain poton se navase badh kar
tajraba kar liya aur dekh liya sab ko ‘sharaf’
koi hamdard nahin yad-e-khuda se badh kar
Leave a Reply