• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hamein Kahti Hai Duniya zaKHm-E-Dil zaKHm-E-Jigar Wale

Hamein Kahti Hai Duniya zaKHm-E-Dil zaKHm-E-Jigar Wale

hamen kahti hai duniya zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar vaale

zara tum bhi to dekho ham ko tum bhi ho nazar vaale

nazar a.enge naqsh-e-pa jahan us fitnagar vaale

chalenge sar ke bal rasta vahan ke rahguzar vaale

sitam-ijadiyon ki shaan men baTTa na aa jaa.e

na karna bhuul kar tum jaur charḳh-e-kina-var vaale

jafa-o-jaur-e-gul-chin se chaman matam-kada sa hai

phaḌakte hain qafas ki tarah azadi men par vaale

alif se ta-ba-ya lillah afsana suna diije

janab-e-musa-e-imran vahi hairat-nagar vaale

hamen malum hai ham mante hain ham ne sikha hai

dil azurda hua karte hain az had chashm-e-tar vaale

kaTane ko gala aThon pahr maujud rahte hain

vo dil vaale jigar vaale sahi ham bhi hain sar vaale

tamasha dekh kar duniya ka ‘sa.el’ ko hui hairat

ki takte rah ga.e bad-gauharon ka munh guhar vaale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bite Baras Ki Yaad Ka Paikar Utar De

nasir-kazmi

Fikr-E-Tamir-E-Ashiyan Bhi Hai

poet

Khun-E-dil Hota Raha Khun-E-Jigar Hota Raha

afzal-naved

Pani Shajar Pe Phul Bana dekhta Raha

Barg-E-Sada Ko Lab Se uDe Der Ho Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet