tire shahr ki sard galiyon ki aahat
mire khuun men sarsarai
main chaunka
yahan kaun hai
main pukara magar
duur khali sadak par kahin
raat ke dubte pahar ki khamushi chal padi
rat-jagon ki thakavat men duubi hui
aankh se khvab nikla koi
ladkhadata hua
raat ke sard angan men girta hua
khali shakhon men atke hue
chand ki aankh se ek aansu gira
aur siine men gum ho gaya
dhund ki narm poren
masamon men chalne lagin
do taraf istada darakhton ke niche
bahe ansuon ki mahak men mujhe
niind aane lagi
Leave a Reply