phir koi ḳhvab tire rangon se juda nahin dekha
kya kuchh dekh liya tha ham ne kya nahin dekha
avval-e-ishq ki saa.at ja kar phir nahin aa.i
phir koi mausam pahle mausam sa nahin dekha
sab ne dekha tha tira ham ko ruḳhsat karna
ham ne jo manzar dekhne vaala tha nahin dekha
be-kal be-kal rahna diid ka phal to nahin hai
dekhne vaali aankh ne jaane kya nahin dekha
ham jise parda-e-ḳhvab men rah kar dekh rahe hain
jagne vaalo tum ne bhi dekha ya nahin dekha
Leave a Reply