• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Achchha Jo Bura Aapne Chaha Na Kisi Ka

Achchha Jo Bura Aapne Chaha Na Kisi Ka

poet

achchha jo bura aap ne chaha na kisi ka

divana kyuun na ho dil-e-farzana kisi ka

maana ki hai us shoḳh se yarana kisi ka

dam bharta hai phir kyuun dil-e-divana kisi ka

lau us ki faqat sham-e-risalat se lagi hai

mushtaq nahin bazm men parvana kisi ka

aate nahin is rashk se vo ḳhana-e-dil men

abad na ho jaa.e ye virana kisi ka

ai dil hai abas us se tamanna-e-mulaqat

vo shoḳh na hoga kabhi apna na kisi ka

un ke dur-e-dandan ke tasavvur men shab-e-hijr

har ashk dam-e-girya hai durdana kisi ka

jaane se tire aa.e mire dil men gham-o-ranj

pahle to siva tere guzar tha na kisi ka

hargiz na sune vo gul-o-bulbul ki kahani

ho gosh-zad us ke agar afsana kisi ka

bole vo hujum-e-gham-o-hasrat ko jo dekha

kyuun is men rahen ham ki hai kashana kisi ka

kuchh duur nahin manzil-e-maqsud yahan se

de saath agar himmat-e-mardana kisi ka

aapas men jhagaḌte hain agar shaiḳh-o-barahman

masjid hi kisi ki hai na but-ḳhana kisi ka

phir gulshan-e-jannat ki na ho aarzu us ko

maskan hai agar kucha-e-janana kisi ka

allah re rutba ki hua qais qadam-bos

sahra men jo pahuncha koi divana kisi ka

bhaTTi men jo ho dafn koi bada-kash-e-rind

gumbad abhi ho ja.ega ḳhum-ḳhana kisi ka

allah re tajahul mire ahbab se puchha

divana hai kya ‘sabir’-e-farzana kisi ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Kya Kaha Ki Gham-E-Ishq Nagawar Hua

jaun-eliya

Ai Subah Main Ab Kahan Raha Hun

Karte Rahen Wabasta Un Se Chahe Jo Afsane Log

Hairat Aur Iztirab Ko Ham-Sar Karunga Main

gulzar

Girhen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet