ḳhuun men tar sabr ki chadar kahan le jaoge
zindagani ko barahna-sar kahan le jaoge
aa ga.e ahkam-e-navvab bolna mamnua hai
tum suḳhnavar lab-e-gustar kahan le jaoge
TuuT ja.enge zavabit chiḳh uTThega zamir
duur nazron se har ik manzar kahan le jaoge
tark-e-aula ki saza ye pattharon ka shahr hai
ab bhala ye kanch ka paikar kahan le jaoge
shauq ke pur-pech raste aur anasir sang-e-mil
gar uTha bhi lo to ye patthar kahan le jaoge
agahi ka rizq kab malta hai aur kis samt se
kasa-e-zauq-e-nazar dar dar kahan le jaoge
hijr ki shab ka hai ye pichhla pahar uTho ‘shahab’
ro chuke shab bhar ye chashm-tar kahan le jaoge
Leave a Reply