mehrban mujh pe ho ai rashk-e-qamar aaj ki raat
aa mire chand ke TukḌe mire ghar aaj ki raat
raah bhuul aaya hai ik chand idhar aaj ki raat
kaisi ghar baiThi hai daulat mire ghar aaj ki raat
yaar aaya nahin kyuun kar ho basar aaj ki raat
ta-qayamat nahin hone ki sahar aaj ki raat
aap se aap vo aa.e mire ghar aaj ki raat
din-o-duniya ki nahin mujh ko ḳhabar aaj ki raat
kyuun ḳhafa mujh se hai vo rashk-e-qamar aaj ki raat
badli badli nazar aati hai nazar aaj ki raat
ai sanam bahr-e-ḳhuda aap hi laa.en tashrif
putliyon ka hai tamasha mire ghar aaj ki raat
sadgi hai tiri pariyon ki banavaT se siva
sub.h ho ja.egi itna na nikhar aaj ki raat
zulf suljhate hue pyaar se vo dekhte hain
kya main ho ja.unga manzur-e-nazar aaj ki raat
meri gustaḳhi na yaad aa.e ilahi hargiz
un ko bekal na kare fikr-e-kamar aaj ki raat
maang moti se bhari hai na chaḌho koThe par
tum ko lag ja.egi taron ki nazar aaj ki raat
lailatul-qadr hai ye ya shab-e-me.araj hai ye
yaar ke zaanu pe apna jo hai sar aaj ki raat
vasl ik parda-nashin se hai na ho ghair ka daḳhl
sham.a tak aa.e na parvane ka par aaj ki raat
mehman aap bas itna hi rahen mere ghar
kal ka roz aaj ka din chaar pahar aaj ki raat
kal na dunga tujhe taklif kuchh aisi vallah
khol de band-e-qaba sharm na kar aaj ki raat
jalva kya ḳhuub hai mahtabi ka mahtabi par
lutf-e-mai-noshi hai ai rashk-e-qamar aaj ki raat
bagh-o-mai chandni aur vasl-e-pari hai mujh ko
piite hain mere adu ḳhun-e-jigar aaj ki raat
gul-badan pahne hain vo mahram-e-kamḳhab nahin
niind aane ka mire dil men hai Dar aaj ki raat
kis zaban se ho bayan aao gale lag jaao
dil se dil hi sune kuchh dard-e-jigar aaj ki raat
baḳht-e-be-dar se vo chand mire haath aaya
asman tak hain mire dast-nigar aaj ki raat
haath se zulf vo suljha.en to ho ja.un nihal
dekh luun naḳhl-e-tamanna ke samar aaj ki raat
ashiq-e-abru ko kya qatl karoge nadan
nannhi talvar jo hai zeb-e-kamar aaj ki raat
yaar ki zulf-e-zar-afshan mujhe yaad aati hai
kya hi siine se nikalte hain sharar aaj ki raat
bashkan-o-bashkan miina ki sada ko sun kar
aane paa.e na kahin miim basar aaj ki raat
gore galon se na sarkao siyah-zulfon ko
ḳhauf hai mujh ko na ho jaa.e sahar aaj ki raat
ashiq-e-zulf ko do bosa-o-ḳhatt-o-abru
mus.haf-e-ruḳh pe likhun zer-o-zabar aaj ki raat
raqs is zohra-jabin ka hai adu ke ghar men
mehr mizan men hai aqrab men qamar aaj ki raat
haath vo joḌte hain sar hai mira qadmon par
ho na samjhane manane men sahar aaj ki raat
ḳhufta-baḳhti se ilahi ye kahin so jaa.en
topchi zahid-o-murghan-e-sahar aaj ki raat
gul-e-shabbu hai laja lo gul-e-sudi hai gulab
sharm-o-ghussa hai araq men vo hain tar aaj ki raat
asman par hai dimagh ab nahin milne ke ‘nasim’
mehrban un pe hai ik rashk-e-qamar aaj ki raat
Leave a Reply