qafas ko toḌ ke main bal-o-par bhi dekhunga
jo bal-o-par hon salamat to ghar bhi dekhunga
phir is ke baad na kahna sada-ba-sahra thi
main apni baat ka tujh par asar bhi dekhunga
yahan to sab hi purani ravish pe chalte hain
main ab bana ke na.i rah-guzar bhi dekhunga
milunga tum se to mangunga roz-o-shab ka hisab
rahunga ghar men to phir bam-o-dar bhi dekhunga
main ḳhush bahut tha baharon ke darmiyan manzar
ḳhabar na thi ki ḳhizan ka guzar bhi dekhunga
Leave a Reply