yuun subuk-dosh huun jiine ka bhi ilzam nahin
aah itni baḌi duniya men koi kaam nahin
meri tahqiq mira husn-e-nazar aam nahin
koi aalam ho mire aa.ine men shaam nahin
os daman pe hai ankhon men nami ki jhalki
sub.h hone pe bhi asudgi-e-sham nahin
mast huun nashsha-e-parvaz men ab hosh kahan
ham-nava dekh mira ruḳh to su-e-dam nahin
matam ab ḳhaak karun be-sar-o-samani ka
ik diya aaj mayassar hai to ab shaam nahin
nashsha-e-hosh pe thi kam-nazari ki tohmat
khul ga.i aankh to ab koi sar-e-bam nahin
yaad hain chashm-e-navazish ke vo paiham nashtar
ab to begana-nigahi ka bhi paigham nahin
koi surḳhi ho to afsana samajh men aa.e
haa.e vo dil ki ḳhalish jis ka koi naam nahin
ghusl-e-tauba ke liye bhi nahin milti hai sharab
ab hamen pyaas lagi hai to koi jaam nahin
phir ujala hi ujala nazar aata hai ‘siraj’
dil ho bedar to duniya men kabhi shaam nahin
Leave a Reply