aansu thame jo ruḳh pe vo gesu bikhar gaya
milte hi donon vaqt ke dariya Thahar gaya
achchha hua shabab ka aalam guzar gaya
ik jin chaḌha hua mire sar se utar gaya
yaar aa ke ḳhvab men mujhe sharminda kar gaya
kya saḳht jaan tha ki na furqat men mar gaya
ushshaq kam-sini se vo kam-sin habab-var
joban ne jab kuchon ko ubhara ubhar gaya
ai ham-safir bal-fishani ka zikr kiya
tola jo bazuon ko paron ko katar gaya
lauh-e-mazar bhi jo bana.i vo sang-dil
patthar ki sil tarash ke chhati pe dhar gaya
marne pe qabr bhi jo khudi mohr ki tarah
main be-nishan misl-e-nagin naam kar gaya
bigḌa banao kar ke jo vo but raqib se
fazl-e-ḳhuda se kaam hamara sanvar gaya
kya abdari-e-dam-e-ḳhanjar bayan karun
paani ka ghunT tha ki gale se utar gaya
sunte hain jaan hijr men ‘arsh’-e-hazin ne di
bhuka visal-e-yar ka kuchh kha ke mar gaya
Leave a Reply