KHudaya Ishq Mein Achchhi Ye Shart-E-Imtihan Rakh Di

ḳhudāyā ishq meñ achchhī ye shart-e-imtihāñ rakh dī

lagā kar mohr-e-ḳhāmoshī mire muñh meñ zabāñ rakh dī

jo pūchho dil se shai tum ne kahāñ ai mehrbāñ rakh dī

baḌī naḳhvat se kahte haiñ jahāñ chāhī vahāñ rakh dī

kisī ke jaur-e-behad par bhī jab ḳhāmosh rahnā thā

to phir kyuuñ ai ḳhudā tū ne mire muñh meñ zabāñ rakh dī

mohabbat kā nishāñ tak bhī zamāne meñ nahīñ miltā

uThā kar chiiz ye ai āsmāñ tū ne kahāñ rakh dī

kahāñ tak hādsāt-e-barq-o-bārāñ se rahūñ ḳhā.if

ḳhudā kā naam le kar maiñ ne tarah-e-āshiyāñ rakh dī

Leave a Comment