• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Ne Dekhe Honge Ab Tak Aise Nae Nirale Patthar

Kis Ne Dekhe Honge Ab Tak Aise Nae Nirale Patthar

kis ne dekhe honge ab tak aise na.e nirale patthar

main ne apne taj-mahal men chunva.e hain kaale patthar

jo hiron ke ruup men dar dar apne aansu baanT rahe hain

un fan-karon par phenkenge kab tak duniya vaale patthar

jaane kaun the jin ko jivan-rut se bhiik mili rangon ki

apni suuni jholi men to phulon ne bhi Daale patthar

maqtal ki be-rahm fasilen sar tak aa pahunchi hain aḳhir

mere jism ki divaron se ab to koi haTa le patthar

pyaar tumhara jhuTa hai aur jhuTa hai bhagvan bhi shayad

varna kuchh to kahte buḌhe mandir ke rakhvale patthar

apne apne naam ke ujle shish-mahal ki ḳhair manao

har shohrat ki muTThi men hain rusva.i ke kaale patthar

ai dhanvano tum kya jaano zauq-e-ibadat qadr-e-parstish

tum sab hiire moti le lo kar do mire havale patthar

‘prem’ is yug ki sal-girah par aur bhala kya tohfa dete

chand ki dilkash dharti se bhi ham ne DhunDh nikale patthar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHala Mein Ghur Raha Hai Ajib Aadmi Hai

Ta-Falak Hai KHushbuon Ka Silsila

ahmad-faraz

To Behtar Hai Yahi

parveen-shakir

Jala diya Shajar-E-Jaan Ki Sabz-Bakht Na Tha

Jab Hamare KHilaf Bolte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet