• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / sang-e-jaan

sang-e-jaan

zahida-zaidi

ab-e-khufta men

ik sang phenka to hai

daere

sath-e-sakit pe ubhre hain

phenkenge

mit jaenge

aur vo sang-e-jan

apni ye dastan

zer-e-bar jumud-e-garan

ek sang-e-malamat ki manind

dohraega

vo jis ka intizar tha

vo jis ka intizar tha

shafaq ko

badalon ko

rahguzar ko abshar ko

khizan ki pattiyon ko

chandni ko

dhuup ko bahar ko

vo jis ki aarzu thi

saaton ko

khamushi ko

zehn ko khayal ko

tasavvur-e-muhal ko

khanakti pyaliyon ko

kursiyon ko

jaam ko ko na na-tamam ko

dopahar ko shaam ko

vo jis ki ahaten samaaton ke kunj men nihan thiin

jis ka aks

jalva-rez tha

basaraton ki jhiil men

vo kya faqat safa ka surmagin khiram tha

ki shakh-e-gul ka saya-e-khafif tha

ki mauj-e-ab par kiran ka irtiash tha

jo ek pal men samne se yuun guzar gaya

ki vo sabhi jo muntazir the

aankh malte rah gae

magar vo is tarah guzar gaya

ki yak-ba-yak vo intizar ki bisat hi ulat gai

vo khel khatm ho gaya

aur us ke baad

asman se zamin

zamin se asman tak

khala khala khala khala

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tir Nazron Ke Hum Pe Chalate Raho

akbar-hyderabadi

Ata Hui Kise Sanad Nazar Nazar Ki Baat Hai

Na Sham Hai Na Sawera Ajab Dayar Mein Hun

parvin-sheer

Kuchh Sath diya Mera dawa Ne Na dua Ne

imam-bakhsh-nasikh

Hai dil-E-Sozan Mein Tur Uski Tajalli-Gah Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet