rahne ko sada dahr men aata nahin koi
tum jaise gae aise bhi jaata nahin koi
darta huun kahin khushk na ho jaae samundar
raakh apni kabhi aap bahata nahin koi
ik baar to khud maut bhi ghabra gai hogi
yuun maut ko siine se lagata nahin koi
maana ki ujalon ne tumhen daagh diye the
be-rat dhale shama bujhata nahin koi
saaqi se gila tha tumhen mai-khane se shikva
ab zahr se bhi pyaas bujhata nahin koi
har subh hila deta tha zanjir zamana
kyuun aaj divane ko jagata nahin koi
arthi to utha lete hain sab ashk baha ke
naz-e-dil-e-betab uthata nahin koi
Leave a Reply