phir is se qabl ki bar-e-digar banaya jaa.e
ye a.ina hai ise dekh kar banaya jaa.e
main sochta huun tire la-makan ke us janib
makan kaisa banega agar banaya jaa.e
zara zara se ka.i naqs hain abhi mujh men
na.e sire se mujhe gundh kar banaya jaa.e
zamin itni nahin hai ki paanv rakh paa.en
dil-e-ḳharab ki zid hai ki ghar banaya jaa.e
bahut se lafz paḌe hashiyon men sochte hain
kisi tarah se ibarat men dar banaya jaa.e
vo ja raha hai to jaate hue ko rokna kya
zara si baat ko kyuun dard-e-sar banaya jaa.e
kahin rukenge to tariq-‘na.im’ dekhenge
safar men kya koi zad-e-safar banaya jaa.e
Leave a Reply