pher roz-e-firaq-e-yar aaya
nama-bar aah zaar zaar aaya
tere jaane se fitna ho tayyar
ba-sar-e-chashm ashk-bar aaya
jhaḌa marqad pe mere jab daman
asman ka goya ghubar aaya
mai se tauba to kar nahin sakta
kya karun mausam-e-bahar aaya
maara javega bhaag ai naseh
dekh ye naznin savar aaya
kisi maḳhluq ko ḳhuda na dikha.e
jo ki mujh par dar-intizar aaya
is ki bedad ka ḳhuda de ajr
haath men le ke zul-fiqar aaya
kahta hai sar jhuka jo ashiq hai
main to ab ma.il-e-shikar aaya
‘afridi’ samajh hayat-e-abad
qatl ko tere gar vo yaar aaya
peshva.i ko is ki ja jaldi
kah ki hazir gunahgar aaya
tujhe ‘qasim-ali’ ḳhuda ki qasam
kaise zalim pe e’tibar aaya
Leave a Reply