kis ja na be-qarari se main khasta-tan gaya
par dekhne ka us ke kahin dhab na ban gaya
kis kis tarah ki ki khafagi dil ne mujh se aah
rutha kisi ka yaar kisi se jo man gaya
yaaro jahan men ab kahin dekhi vafa ki chaal
jaane do ye na zikr karo vo chalan gaya
sausan zaban nikale jo nikli to zer-e-khak
kya janiye ki kaun ye tishna-dahan gaya
ai ishq sach to ye hai ki shirin ne kuchh na ki
hasrat ka koh dil pe liye kohkan gaya
bas naseha ye tir-e-malamat kahan talak
baton se teri aah kaleja to chhan gaya
kal us sanam ke kuche se nikla jo shaikh-e-vaqt
kahte the sab idhar se ajab barhaman gaya
paida ye hijr-e-yar men vahshat hui ki aah
is dil ka vasl men bhi na divana-pan gaya
hairan hai tujh ko dekh ke ‘jurat’ miri to aql
do chaar din men kya ye tira haal ban gaya
Leave a Reply