jab main ne kaha ai but-e-khud-kam vare aa
tab kahne laga ”chal be o bad-nam pare jaa”
hai subh se ashiq ka tire haal nipat tang
maalum ye hota hai ki ta-sham marega
naseh mire rone ka na maane ho ki ashiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya
aata hai gar is abr men ai saqi-e-gulfam
to bada-e-gul-rang se tu jaam bhare la
yaan ziist ka khatra nahin haan khinchiye talvar
vo ghair tha jo dekh ke samsam dare tha
main ne jo kaha ek to bosa tu mujhe de
bola vo ”zaban apni ko tu thaam are ha!”
gar dida-o-dil farsh karun raah men ‘jurat’
mumkin hi nahin jo vo dil-aram dhare pa
Leave a Reply