• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir Gulab Ki shaKHen Saj Gain Qarinon Se

Phir Gulab Ki shaKHen Saj Gain Qarinon Se

phir gulab ki shaḳhen saj ga.iin qarinon se

aap bhi utar aa.en chandni ke zinon se

apni pak-bazi ka phir subut de lena

tum lahu to dho Daalo pahle astinon se

dushmanon ke ḳhemon men khul ke ja.iye sahab

haan magar bache rahiye ḳhush-ada hasinon se

un ke ariz-o-lab ko chand se na do tashbih

pattharon ko kya nisbat qimti naginon se

koi un ko ja kar ye iltimas pahuncha de

aap ko nahin dekha DeḌh-do mahinon se

ḳhush-libas maujon ne pairahan badal Daale

aap bhi zara langar kholiye safinon se

ma-siva-e-mahrumi aur kuchh nahin paaya

aqilon ki basti men mil liye zahinon se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Na Jab Dikhlae Kuchh Bhi Aankh Pyare

Usko Ye Zid Hai Ki Rah Jae Badan Sar Na Rahe

akhtar-ul-iman

Umr-E-Gurezan Ke Nam

poet

Ghair Ke Ghar Hain Wo Mehman baDi Mushkil Hai

poet

Mauj Aae Koi Halqa-E-Girdab Ki Surat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet