ah-e-shab nala-e-sahar le kar
nikle ham tosha-e-safar le kar
shaghl hai naala kuchh murad nahin
kya karun ai falak asar le kar
teri mahfil ka yaar kya kahna
ham bhi nikle hain chashm-e-tar le kar
aap main ne diya dil us but ko
jhuk ga.i shaḳh ḳhud samar le kar
tha qafas ka ḳhayal daman-gir
uḌ sake ham na baal o par le kar
‘vahshat’ us bazm men rahe the raat
sub.h nikle hain dard-e-sar le kar
Leave a Reply