phir chahe jitni qamat le kar aa jaana
pahle apni zaat se tum bahar aa jaana
tanha tai kar lunga saare mushkil raste
shart ye hai ki tum darvaze par aa jaana
main divar pe rakh a.unga diip jala kar
saaya ban kar tum darvaze par aa jaana
tum ne ham ko Thukraya ye zarf tumhara
jab tum ko Thukra den log idhar aa jaana
baton ka bhi zaḳhm bahut gahra hota hai
qatl bhi karna ho to be-ḳhanjar aa jaana
tum kyuun apni satah pe ham ko laana chaho
mushkil hai gahra.i ka uupar aa jaana
jab thak jaa.e zehn ḳhuda.i karte karte
bandon se milne banda-parvar aa jaana
ham ne ye tahzib parindon se sikhi hai
sub.h ko ghar se jaana shaam ko ghar aa jaana
rasta rasta ek aja.ib-gah ‘muzaffar’
hansti ankhon se jaana shashdar aa jaana
Leave a Reply