tumhare jaate hi har chashm-e-tar ko dekhte hain
hai ansuon ka samundar jidhar ko dekhte hain
‘faraz’ ho ga.e ruḳhsat jahan-e-fani se
udaas udaas suḳhan ke safar ko dekhte hain
kahan vo ishq-e-javan ki Thahar ga.iin kirnen
ruki ruki hui bad-e-sahar ko dekhte hain
suna hai ‘faiz’ se aage nikal ga.e the ‘faraz’
ghazal ke soz-e-darun ke asar ko dekhte hain
suna hai us ne ghazal ka badal diya lahja
sabhi ‘faraz’ ke fikr-o-nazar ko dekhte hain
suna hai us ki ghazal aa.ina thi hasti ka
isi liye to ham us a.ina-gar ko dekhte hain
sajaya us ne hunar se jo apni ghazlon ko
suna hai log ab us ke hunar ko dekhte hain
kahan ‘faraz’ kahan ‘azam’-e-shikasta-jan
zara sa chal ke ham us ki Dagar ko dekhte hain
Leave a Reply