phail raha hai ye jo khali hone ka dar mujh men
akhir-kar simat aaega mera bahar mujh men
ro dunga to ashk nahin ankhon se ret bahegi
khuun kahan kuchh sukhe dariya hain sahra bhar mujh men
pahron jalta rahta huun main jaise koi suraj
ek kiran jab ruk jaati hai tujh se chhan kar mujh men
tu maujud hai main maadum huun is ka matlab ye hai
tujh men jo napaid hai pyare vo hai mayassar mujh men
qatra thiik hai dariya hone men nuqsan bahut hai
dekh to kaise duub raha hai mera lashkar mujh men
Leave a Reply