hai dil ko is tarah se mire yaar ki talash
jis tarah thi kalim ko didar ki talash
hon rind sar khula bhi jo hove to dar nahin
zahid nahin ki mujh ko ho dastar ki talash
main huun kahin pa athon pahar hai usi ki fikr
jaati nahin hai dil se mire yaar ki talash
dil hathon-hath bik gaya bazar-e-ishq men
karni padi na mujh ko kharidar ki talash
apne hi dil men dhundhna lazim tha yaar ko
itne dinon jo ki bhi to be-kar ki talash
baiana naqd-e-jan karo ‘sayyah’ pesh-kash
rahti hai un ko aaise kharidar ki talash
Leave a Reply