payam-e-ashti ik dhong dosti ka tha
mila vo hans ke taqaza ye dushmani ka tha
khada kinare pe main apni thaah kya paata
ki ye moamla irfan-o-agahi ka tha
main us ke samne ghairon se baat karta raha
agarche sauda mire sar men bas usi ka tha
kai imaraton ko apna ghar samajh ke jiya
mire makan men fuqdan raushni ka tha
jo saath laae the ghar se vo kho gaya hai kahin
irada varna hamara bhi vapsi ka tha
Leave a Reply