baat karne ka nahin samne aane ka nahin
vo mujhe meri aziyyat se bachane ka nahin
duur ik shahr hai jo paas bulata hai mujhe
varna ye shahr kahin chhod ke jaane ka nahin
kya yunhi raat ke pahlu men kategi ye hayat
kya koi shahr ke logon ko jagane ka nahin
ajnabi log hain main jin men ghira rahta huun
ashna koi yahan mere fasane ka nahin
ye jo ik shahr hai ye jis pe tasarruf hai mira
main yahan koi bhi divar banane ka nahin
baad muddat ke jo aaya tha vahi laut gaya
ab yahan koi charaghon ko jalane ka nahin
aane vaali hai nai sub.h zara der ke baad
kya koi rah-e-tamanna ko sajane ka nahin