pattharon ne ye tamasha to kabhi dekha na tha
itni ḳhamoshi se koi aa.ina TuuTa na tha
dard ke sagar men lahren is tarah machli na thiin
gham ki peshani pe koi chand yuun chamka na tha
suuni galiyon men bhaTakti phir rahi thi chandni
shahr-e-shab ke raston par ek main tanha na tha
jis ne raushan kar diye bujhti umidon ke charagh
sanvla saaya tha koi nuur ka sho.ala na tha
manzilon par bhi rahenge qurbaton ke fasle
ham ne hangam-e-safar ‘akram’ kabhi socha na tha
Leave a Reply