jo mere bas men hai us se ziyada kya karna
safar to karna hai us ka irada kya karna
bas ek rang hai dil men kisi ke hone se
ab apne-ap ko is se bhi saada kya karna
jab apni aag hi kaafi hai mere jiine ko
to mahr o maah se bhi istifada kya karna
tire labon ke siva kuchh nahin mayassar jab
so fikr-e-saghar-o-saqi-o-bada kya karna
tamam kashtiyan sahil pe hain abhi Thahri
abhi se in ko jalane ka va.ada kya karna
Leave a Reply