mujhe jamal-e-badan ka hai e’tiraf magar
main kya karun ki vara-e-badan bhi dekhta huun
ye kaenat faqat ek rukh nahin rakhti
chaman bhi dekhta huun aur ban bhi dekhta huun
miri nazar men hain jab husn ke tamam andaz
main fan bhi dekhta huun fikr-o-fan bhi dekhta huun
nikal gaya huun fareb-e-nigah se aage
main asman ko shikan-dar-shikan bhi dekhta huun
vo aadmi ki sabhi roe jin ki mayyat par
main us ko zer-e-kafan khanda-zan bhi dekhta huun
main janta huun ki khurshid hai jalal-maab
magar ghurub se khud ko rihai deta nahin
main sochta huun ki chand ik jamal-para hai
magar vo rukh jo kisi ko dikhai deta nahin
main sochta huun haqiqat ka ye tazad hai kya
khuda jo deta hai sab kuchh khudai deta nahin
vo log zauq se aari hain jo ye kahte hain
ki ashk tutta hai aur sunai deta nahin
badan bhi aag hai aur ruuh bhi jahannam hai
mira qusur ye hai men duhai deta nahin
Leave a Reply