aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana
vo baagh ki baharen vo sab ka chahchahana
azadiyan kahan vo ab apne ghonsle ki
apni khushi se aana apni khushi se jaana
lagti hai chot dil par aata hai yaad jis dam
shabnam ke an.suon par kaliyon ka muskurana
vo pyari pyari surat vo kamani si murat
abad jis ke dam se tha mera ashiyana
aati nahin sadaen us ki mire qafas men
hoti miri rihai ai kaash mere bas men
kya bad-nasib huun main ghar ko taras raha huun
sathi to hain vatan men main qaid men pada huun
aai bahar kaliyan phulon ki hans rahi hain
main is andhere ghar men qismat ko ro raha huun
is qaid ka ilahi dukhda kise sunaun
dar hai yahin qafas men main gham se mar na jaun
jab se chaman chhuta hai ye haal ho gaya hai
dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai
gaana ise samajh kar khush hon na sunne vaale
dukhte hue dilon ki fariyad ye sada hai
azad mujh ko kar de o qaid karne vaale
main be-zaban huun qaidi tu chhod kar dua le!
Leave a Reply