parinde aur pardesi kabhi vapas nahin aate
jila-vatnon ke paanv ke tale
dharti badi kamzor hoti hai
kabhi rasta nahin hota
kabhi saaya nahin hota
shajar ki arzuen dhuup ke aansu bahati hain
magar barish nahin hoti
parinde aur pardesi kabhi vapas nahin aate
duaen gathriyon men bandh kar
chaukhat pe baithi
maaon ke patthar vajudon par
kabhi mitti nahin hoti
kabhi sabza nahin ugta
parinde aur pardesi
agar vapas kabhi aaen to
saare lok giton dastanon
aur mitti men amanat ki hui ankhon ko
apne saath le jaen!