pahlu-o-pusht-o-sina-o-rukhsar aaina
hai razm-gah-e-husn ka ye chaar aaina
kaf aaina bar aaina rukhsar aaina
hai sar se paanv tak vo sitamgar aaina
hatta nahin jo samne se us ke raat din
ham se siva hai talib-e-didar aaina
ye to mira raqib hai main manta nahin
kyuun dekhta hai aap ko har baar aaina
rukh ka hai aks dil men to rukh men hai dil ka aks
hai aaine ke samne har baar aaina
khalvat men us ke nuur se aalam hai tuur ka
hain ab-o-tab se dar-o-divar aaina
ghash kha ke gir pade na kahin roab-e-husn se
is vaste hai pusht ba-divar aaina
kis men hai ab-o-tab siva dekh lijiye
ik baar us ka chehra aur ik baar aaina
rukh ka aur us ka ho gaya ik baar faisla
achchha hua ki maan gaya haar aaina
labrez hai shua-e-rukh-e-dil-faroz se
le ab-e-husn-e-saghar-e-sarshar aaina
‘parvin’ jahan men us ki jhapakti nahin palak
hairat ka aap karta hai iqrar aaina
Leave a Reply