Aks-E-Gul Hun Ki Naqsh-E-Hairat Hun

aks-e-gul huuñ ki naqsh-e-hairat huuñ

aa.ine maiñ tirī zarūrat huuñ

gūñjtā huuñ diloñ ke gumbad meñ

ek āvāza-e-mohabbat huuñ

nā-rasā.ī mirā muqaddar hai

zer-e-lab ik bayān-e-hasrat huuñ

dil-e-āsūda hai vatan merā

maiñ tamannā-e-dasht-e-ġhurbat huuñ

maiñ huuñ ik paikar-e-ḳhayāl-o-ḳhvāb

aur kitnī baḌī haqīqat huuñ

garche maiñ harf-e-ḳhāk huuñ ‘ḳhurshīd’

phir bhī zeb–ekitāb-e-fitrat huuñ

Leave a Comment