sukun-e-dil men vo ban ke jab intishar utra to main ne dekha
na dekhta par lahu men vo baar baar utra to main ne dekha
na ansuon hi men vo chamak thi na dil ki dhaḌkan men vo kasak thi
sahar ke hote hi nashsha-e-hijr-e-yar utra to main ne dekha
udaas ankhon se tak raha tha mujhe vo chhuTa hua kinara
shikasta kashti se jab main dariya ke paar utra to main ne dekha
jo barf ankhon men jam chuki thi vo dhire dhire pighal rahi thi
jab aa.ine men vo mera a.ina-dar utra to main ne dekha
the jitne vahm-o-guman vo sab na.i haqiqat men Dhal chuke the
ik aadmi par kalam-e-parvardigar utra to main ne dekha
na jaane kab se sisak raha tha qarib aate jhijak raha tha
makan ki dahliz se vo jab ashk-bar utra to main ne dekha
ḳhayal-e-janan tiri badaulat ‘faraz’ hai kitna ḳhub-surat
dimagh-o-dil se haqiqaton ka ghubar utra to main ne dekha
Leave a Reply