chupke chupke ye kaam karta ja
kaam sab ka tamam karta ja
ham ko badnam kar zamane men
kuchh zamane men naam karta ja
yaad ki shah-rah-e-simin par
ai saman-bar ḳhiram karta ja
ai ki tera mizaj shabnam sa
barg-e-dil par qayam karta ja
ashk ankhon men le ke ruḳhsat ho
mera marna haram karta ja
bastiyon ka ujaḌna basna kya
be-jhijak qatl-e-am karta ja
dastan-go tiri kahani men
ramz kiya hai kalam karta ja
chaar chhai sher kaam ke kah le
kuchh to ‘maz.har–imam’ karta ja
Leave a Reply