• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kaun Aa Gaya Ye Hashr Ka Saman Liye Hue

Kaun Aa Gaya Ye Hashr Ka Saman Liye Hue

kaun aa gaya ye hashr ka saman liye hue

daman men apne mera gareban liye hue

har ek gham hai aish ka unvan liye hue

sham-e-ḳhizan hai sub.h-e-baharan liye hue

sajda hai mera zauq-e-faravan liye hue

uThega ab to sar dar-e-janan liye hue

ba.ad-e-riha.i bhi na main zindan se ja.unga

baiTha rahunga izzat-e-zindan liye hue

ab bhi na ḳhanda-lab hon mire zaḳhm-ha-e-dil

vo muskura rahe hain namak-dan liye hue

ai chara-saz baiTh ye charagari bhi dekh

uTThega mera dard hi darman liye hue

rangini-e-tabassum-e-paiham na puchhiye

jaise vo aa rahe hon gulistan liye hue

aisa bhi kaash aa.e mohabbat men inqalab

vo aa.en meri diid ka arman liye hue

kaisi bahar aa.i hai ab ke ba-rang-e-nau

har ek gul hai ḳhun-e-shahidan liye hue

imkan-e-sahv ham se bhi mumkin hai ai ‘shifa’

insaniyat ka ham bhi hain imkan liye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

KHat Bahut Uske paDhe Hain Kabhi Dekha Nahin Hai

Shamim-E-Zulf-E-Yar Aae Na Aae

poet

Shab Ke Hathon Gira Aur Kahin Rah Gaya

Apni Hi Aawargi Se Dar Gae

Tasawwuraat Ki Duniya Basa Raha Hun Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet