pahle to neze ḳhvab men boya karenge raat din
ankhon se apni ḳhuun phir dhoya karenge raat din
ham titliyon ke pankh pe dharen laga ke niind ki
ik shahr-e-nau ke ḳhvab men chhoḌa karenge raat din
bedar rah kar bhi hamen ḳhvari mili so tai kiya
maut aa na jaa.e jab talak soya karenge raat din
tum ik javab-e-muḳhtasar ka ham se jo va.ada karo
ham ik saval-e-vasl hi socha karenge raat din
Leave a Reply