Pahle Hota Tha Bahut Ab Kabhi Hota Hi Nahin

pahle hotā thā bahut ab kabhī hotā hī nahīñ

dil mirā kāñch thā TuuTā to ye rotā hī nahīñ

vo jo hañste the mire saath unheñ DhūñDūñ kahāñ

kaisī duniyā hai jahāñ kā koī rasta hī nahīñ

ek muddat se maiñ baiThī huuñ yahī aas liye

chāñd āñgan meñ mire kis liye utrā hī nahīñ

mujh ko ma.alūm nahīñ raunaq-e-mahfil kyā hai

dasht-e-tanhā.ī se dil merā nikaltā hī nahīñ

kyā ajab shaḳhs thā har baat pe ḳhush rahtā thā

vaqt kyā badlā ki vo DhūñDe se miltā hī nahīñ

Leave a Comment