pahle ik shaḳhs meri zaat bana
aur phir puuri ka.enat bana
husn ne ḳhud kaha musavvir se
paanv par mere koi haath bana
pyaas ki saltanat nahin miTti
laakh dajle bana furat bana
gham ka suraj vo de gaya tujh ko
chahe ab din bana ki raat bana
sher ik mashghala tha ‘qasir’ ka
ab yahi maqsad-e-hayat bana
Leave a Reply