
Shan Bharti
paḌi vo zad ki nigahon ka hausla TuuTa
tumhare aks ki jhilmil se aa.ina TuuTa
zamin shaq hui ankhon men bhar gaya suraj
hamare sar pe achanak vo hadisa TuuTa
gajar ka shor azaan ki pukar kya kahiye
ḳhuda se mere takallum ka silsila TuuTa
hamari fikr had-e-asman se aage thi
magar kabhi na rivayat se vasta TuuTa
taghayyurat ki rau kab ruki hai roke se
har ek daur men lamhon ka zaviya TuuTa

Leave a Reply