reg-e-hasti ka isti.ara ban
ai samundar kabhi kinara ban
yaum-e-varaftagi mana ik din
raqs karte hue sharara ban
apni marzi ki shakl de ḳhud ko
ḳhud ko saara miTa dobara ban
chhoḌ baaqi tamam sazon ko
bas mohabbat ka ek-tara ban
phuul ban kar dikha zamane ko
sang-e-marmar na sang-e-ḳhara ban
ek dhage se bandh le ḳhud ko
halka-phulka sa ho ghubara ban
badalon se utar zamin par aa
ab-e-istada tez dhara ban
meri ankhon men aa mohabbat se
mera dekha hua nazzara ban
mujh men ta.amir kar makan apna
dar daricha kagar usara ban
itni ḳhamoshiyon se behtar hai
koi ma.ani bhara ishara ban
sub.h tak ḳhuub jagmaga ‘nasir’
raat ka aḳhiri sitara ban
Leave a Reply